uske gulabi honT to ras mein base lage
us ke gulābī hoñT to ras meñ base lage
lekin badan ke zā.iqe be-kaif se lage
TuuTe qadam qadam pe jo apnī lachak ke saath
vo daldaloñ meñ zaat kī mujh ko phañse lage
tamsīl ban ga.e haiñ samundar kī jhaag kī
sahrā-e-ġham kī raakh meñ jo bhī dhañse lage
jin kā yaqīn rāh-e-sukūñ kī asaas hai
vo bhī gumān-e-dasht meñ mujh ko phañse lage
ham le ke be-amānī ko jañgal meñ aa ga.e
dil ko jo shahr-e-ḳhūbāñ meñ kuchh vasvase lage
us ke gulabi honT to ras mein base lage
lekin badan ke zaiqe be-kaif se lage
TuTe qadam qadam pe jo apni lachak ke sath
wo daldalon mein zat ki mujh ko phanse lage
tamsil ban gae hain samundar ki jhag ki
sahra-e-gham ki rakh mein jo bhi dhanse lage
jin ka yaqin rah-e-sukun ki asas hai
wo bhi guman-e-dasht mein mujh ko phanse lage
hum le ke be-amani ko jangal mein aa gae
dil ko jo shahr-e-KHuban mein kuchh waswase lage
- Book : Zamin Lapata Rahi (Pg. 68)
- Author : Hanif Tareen
- Publication : Libarty Art Press, Pataudi House, Darya Ganj, (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.