uske hathon se jo KHushbu-e-hina aati hai
us ke hāthoñ se jo ḳhushbū-e-hinā aatī hai
aisā lagtā hai ki jannat se havā aatī hai
chūmne daar ko kis dhaj se chalā hai koī
aaj kis naaz se maqtal meñ qazā aatī hai
na kabhī koī kare tujh se tire jaisā sulūk
haath uThte hī yahī lab pe duā aatī hai
tere ġham ko ye barahna nahīñ rahne detī
merī āñkhoñ pe jo ashkoñ kī ridā aatī hai
us ke chehre kī tamāzat bhī hai shāmil is meñ
aaj taptī huī sāvan kī ghaTā aatī hai
ghūmne jab bhī tire shahr meñ jaatī hai vafā
bain kartī huī vāpas vo sadā aatī hai
hai vahī baat har ik lab pe bahut aam yahāñ
ham se jo kahte hue un ko hayā aatī hai
us ke hathon se jo KHushbu-e-hina aati hai
aisa lagta hai ki jannat se hawa aati hai
chumne dar ko kis dhaj se chala hai koi
aaj kis naz se maqtal mein qaza aati hai
na kabhi koi kare tujh se tere jaisa suluk
hath uThte hi yahi lab pe dua aati hai
tere gham ko ye barahna nahin rahne deti
meri aankhon pe jo ashkon ki rida aati hai
us ke chehre ki tamazat bhi hai shamil is mein
aaj tapti hui sawan ki ghaTa aati hai
ghumne jab bhi tere shahr mein jati hai wafa
bain karti hui wapas wo sada aati hai
hai wahi baat har ek lab pe bahut aam yahan
hum se jo kahte hue un ko haya aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.