uske harim-e-naz mein tera guzar kahan
us ke harīm-e-nāz meñ terā guzar kahāñ
ai dil ye sach batā ki rahā raat bhar kahāñ
manzil se duur gum-shuda-e-kārvāñ huuñ maiñ
aa.eñ mirī madad ke liye haiñ ḳhizar kahāñ
uzlat-nashīn-e-ḳhalvat-o-mast-e-ḳhayāl ban
phirtā rahegā ḳhaak banā dar-ba-dar kahāñ
majbūr-e-ishq huuñ ki uThātā huuñ apne haath
go jāntā huuñ maiñ ki duā meñ asar kahāñ
ik dāstān-e-shauq mire dil meñ hai abhī
bāteñ huī haiñ yaar se jī khol kar kahāñ
vo mere ghar pe aa.eñ na aa.eñ bulā hī leñ
'ejāz' merā aisā muqaddar magar kahāñ
us ke harim-e-naz mein tera guzar kahan
ai dil ye sach bata ki raha raat bhar kahan
manzil se dur gum-shuda-e-karwan hun main
aaen meri madad ke liye hain KHizar kahan
uzlat-nashin-e-KHalwat-o-mast-e-KHayal ban
phirta rahega KHak bana dar-ba-dar kahan
majbur-e-ishq hun ki uThata hun apne hath
go jaanta hun main ki dua mein asar kahan
ek dastan-e-shauq mere dil mein hai abhi
baaten hui hain yar se ji khol kar kahan
wo mere ghar pe aaen na aaen bula hi len
'ejaz' mera aisa muqaddar magar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.