uske hisar-e-KHwab ko mat karb-e-zat kar
us ke hisār-e-ḳhvāb ko mat karb-e-zāt kar
is ḳhushbū-e-ḳhayāl ko tū kā.enāt kar
dil kab talak judā.ī kī shāmeñ manā.egā
merī taraf kabhī to nasīm-e-hayāt kar
maiñ ik tavīl rāste par huuñ khaḌī huī
yā habs-e-tīrgī le yā hāthoñ meñ haath kar
dhīme suroñ meñ chheḌ ke phir sāz-e-zindagī
tū mere lahje meñ bhī kabhī mujh se baat kar
vo hijrateñ hoñ, hijr ho yā qissa-e-visāl
aa phir se mere naam sabhī vāqi.āt kar
pairoñ se us ke naam ke raste lipaT ga.e
ab to yaqīñ ke shahr meñ 'nāhīd' raat kar
us ke hisar-e-KHwab ko mat karb-e-zat kar
is KHushbu-e-KHayal ko tu kaenat kar
dil kab talak judai ki shamen manaega
meri taraf kabhi to nasim-e-hayat kar
main ek tawil raste par hun khaDi hui
ya habs-e-tirgi le ya hathon mein hath kar
dhime suron mein chheD ke phir saz-e-zindagi
tu mere lahje mein bhi kabhi mujh se baat kar
wo hijraten hon, hijr ho ya qissa-e-visal
aa phir se mere nam sabhi waqiat kar
pairon se us ke nam ke raste lipaT gae
ab to yaqin ke shahr mein 'nahid' raat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.