uske honThon ke bhanwar gahre qayamat-KHez hain
us ke hoñThoñ ke bhañvar gahre qayāmat-ḳhez haiñ
us ke bosoñ meñ kahīñ bhī duur tak sāhil nahīñ
us se milnā us ko chhūnā aur mar jaanā vahīñ
itnā chhoTā sā visāl-e-yār bhī hāsil nahīñ
do badan the so vo apnī aag kā īñdhan hue
ab havā koī hamāre darmiyāñ haa.il nahīñ
us ke honThon ke bhanwar gahre qayamat-KHez hain
us ke boson mein kahin bhi dur tak sahil nahin
us se milna us ko chhuna aur mar jaana wahin
itna chhoTa sa visal-e-yar bhi hasil nahin
do badan the so wo apni aag ka indhan hue
ab hawa koi hamare darmiyan hail nahin
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 105)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.