uske honTon pe bad-dua bhi nahin
us ke hoñToñ pe bad-duā bhī nahīñ
ab mire vāste sazā bhī nahīñ
lafz ḳhāmoshiyoñ kā parda haiñ
boltā hai vo boltā bhī nahīñ
maiñ ne phūloñ ko khilte dekhā hai
us ne hoñToñ se kuchh kahā bhī nahīñ
ek muddat se saath huuñ apne
aur maiñ ḳhud ko jāntā bhī nahīñ
hādse aam ho ga.e itne
muḌ ke ab koī dekhtā bhī nahīñ
jaane kyuuñ dil kī aañkh rotī hai
mere andar koī marā bhī nahīñ
us ke honTon pe bad-dua bhi nahin
ab mere waste saza bhi nahin
lafz KHamoshiyon ka parda hain
bolta hai wo bolta bhi nahin
main ne phulon ko khilte dekha hai
us ne honTon se kuchh kaha bhi nahin
ek muddat se sath hun apne
aur main KHud ko jaanta bhi nahin
hadse aam ho gae itne
muD ke ab koi dekhta bhi nahin
jaane kyun dil ki aankh roti hai
mere andar koi mara bhi nahin
- Book : Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 31)
- Author : Farooq Bakhshi
- Publication : Modern Publishing House (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.