uske hote uTha saka kab sar koi
us ke hote uThā sakā kab sar koī
sarkā de ākāsh kī ye chādar koī
baras rahe haiñ sang-e-malāmat har jānib
kaise nikle ab ghar se bāhar koī
ik duuje ko kaaT rahā hai har rasta
khaḌā huā hai chaurāhe par har koī
kāñch kī kaayā le kar niklā huuñ ghar se
aa na lage bhūlā-bhaTkā patthar koī
chhoḌ gayā raddī ke dāmoñ bikne ko
chaaT gayā mujh ko akshar akshar koī
bāhar DhūñD rahe ho tum kis dushman ko
chhupā huā hai apne hī andar koī
koī bhuul chukā hogā shāyad ham ko
yaad nahīñ aatā hai ab aksar koī
bulā rahā hai jangal jangal sannāTā
bhaTak rahā hai tanhā nagar nagar koī
kaan lagā.e aañkh bichhā.e baiThā huuñ
gayā hai jab se aane ko kah kar koī
us ke hote uTha saka kab sar koi
sarka de aakash ki ye chadar koi
baras rahe hain sang-e-malamat har jaanib
kaise nikle ab ghar se bahar koi
ek duje ko kaT raha hai har rasta
khaDa hua hai chaurahe par har koi
kanch ki kaya le kar nikla hun ghar se
aa na lage bhula-bhaTka patthar koi
chhoD gaya raddi ke damon bikne ko
chaT gaya mujh ko akshar akshar koi
bahar DhunD rahe ho tum kis dushman ko
chhupa hua hai apne hi andar koi
koi bhul chuka hoga shayad hum ko
yaad nahin aata hai ab aksar koi
bula raha hai jangal jangal sannaTa
bhaTak raha hai tanha nagar nagar koi
kan lagae aankh bichhae baiTha hun
gaya hai jab se aane ko kah kar koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.