uske ishq mein nam maqam ke nate bhul gae hain
us ke ishq meñ naam maqām ke naate bhuul ga.e haiñ
kaise ḳhud ko yaad kiyā thā kaise bhuul ga.e haiñ
ye ham kis sāhil pe utre ḳhushbūoñ ke sang
hameñ to vāpas jaane vaale raste bhuul ga.e haiñ
kaise safar se lauTī haiñ ye reza-reza āñkheñ
ik chehre kī dhun meñ kitne chehre bhuul ga.e haiñ
us se milnā thā aur us se bāteñ bhī karnā thiiñ
ye bhī us ke sāmne baiThe baiThe bhuul ga.e haiñ
dil meñ itne andeshe haiñ jitne us ke ruup
aur kahte ho sūd-o-ziyāñ ke qisse bhuul ga.e haiñ
'atā' kī sāda-dilī to dekho ek sarāb ke pīchhe
jharnā jharnā phūTne vaale chashme bhuul ga.e haiñ
us ke ishq mein nam maqam ke nate bhul gae hain
kaise KHud ko yaad kiya tha kaise bhul gae hain
ye hum kis sahil pe utre KHushbuon ke sang
hamein to wapas jaane wale raste bhul gae hain
kaise safar se lauTi hain ye reza-reza aankhen
ek chehre ki dhun mein kitne chehre bhul gae hain
us se milna tha aur us se baaten bhi karna thin
ye bhi us ke samne baiThe baiThe bhul gae hain
dil mein itne andeshe hain jitne us ke rup
aur kahte ho sud-o-ziyan ke qisse bhul gae hain
'ata' ki sada-dili to dekho ek sarab ke pichhe
jharna jharna phuTne wale chashme bhul gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.