uske jaisi jo ho bala kahiye
us ke jaisī jo ho balā kahiye
us ke jaisī nahīñ to kyā kahiye
muskurānā ġhamoñ ke biich mirā
is ko jur.at kī intihā kahiye
jab nahīñ ho jahāñ meñ apnā koī
jo mile us ko āshnā kahiye
ishq to sab ne hī kiyā hai phir
apne hī ġham ko kyoñ nayā kahiye
jangaloñ par kulhāḌī chaltī hai
is ko aadam kī sabhyatā kahiye
us ke jaisi jo ho bala kahiye
us ke jaisi nahin to kya kahiye
muskurana ghamon ke bich mera
is ko jurat ki intiha kahiye
jab nahin ho jahan mein apna koi
jo mile us ko aashna kahiye
ishq to sab ne hi kiya hai phir
apne hi gham ko kyon naya kahiye
jangalon par kulhaDi chalti hai
is ko aadam ki sabhyata kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.