uske kangan se mohabbat ki khanak aati hai
us ke kañgan se mohabbat kī khanak aatī hai
zard-rū rātoñ meñ chandan kī mahak aatī hai
bhiiḌ meñ gum hue bachche kī tarah merā dil
dekh luuñ maañ ko to āñkhoñ meñ chamak aatī hai
gaañv kā ghar ghar ke āñgan meñ khilī vo tulsī
ghar se ab paañv baḌhātā huuñ saḌak aatī hai
zikr hotā hai tirā jab bhī kisī mahfil meñ
maut qadmoñ se ye siine pe sarak aatī hai
dafn haiñ kitne mohabbat ke fasāne us par
gaañv se laḌ ke shahar ko jo saḌak aatī hai
us ke kangan se mohabbat ki khanak aati hai
zard-ru raaton mein chandan ki mahak aati hai
bhiD mein gum hue bachche ki tarah mera dil
dekh lun man ko to aankhon mein chamak aati hai
ganw ka ghar ghar ke aangan mein khili wo tulsi
ghar se ab panw baDhata hun saDak aati hai
zikr hota hai tera jab bhi kisi mahfil mein
maut qadmon se ye sine pe sarak aati hai
dafn hain kitne mohabbat ke fasane us par
ganw se laD ke shahar ko jo saDak aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.