uske KHat mein jo likha ghair ka main nam ulTa
uske KHat mein jo likha ghair ka main nam ulTa
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
us ke ḳhat meñ jo likhā ġhair kā maiñ naam ulTā
laayā qāsid bhī mujhe vaañ se to paiġhām ulTā
ham musalmānoñ se yaañ tak to ye hindū bar-aks
ki kabhī ḳhat bhī jo karte haiñ to arqām ulTā
na vo saaqī na vo mai-nosh haiñ mai-ḳhāne meñ
ab to rahtā hai sar-e-ḳhum pe dharā jaam ulTā
ik to sī-pārā-e-dil tum ne kiyā hai barham
tis pe phir mujh ko hī tum dete ho ilzām ulTā
vāzhgūnī jo tabī.at meñ falak kī hai hanūz
nazar aatā hai zamāna sahar o shaam ulTā
shab-e-hijrāñ kī siyāhī na huī roz safed
ye varaq tū ne na ai gardish-e-ayyām ulTā
rasan-e-dām ko sayyād ne khīñchā to vahīñ
aan kar sar pe asīroñ ke girā daam ulTā
'mus.hafī' to abhī thā azm-e-safar par tayyār
ghar phirā jaa.e hai kyuuñ us kā sar-anjām ulTā
us ke KHat mein jo likha ghair ka main nam ulTa
laya qasid bhi mujhe wan se to paigham ulTa
hum musalmanon se yan tak to ye hindu bar-aks
ki kabhi KHat bhi jo karte hain to arqam ulTa
na wo saqi na wo mai-nosh hain mai-KHane mein
ab to rahta hai sar-e-KHum pe dhara jam ulTa
ek to si-para-e-dil tum ne kiya hai barham
tis pe phir mujh ko hi tum dete ho ilzam ulTa
wazhguni jo tabiat mein falak ki hai hanuz
nazar aata hai zamana sahar o sham ulTa
shab-e-hijran ki siyahi na hui roz safed
ye waraq tu ne na ai gardish-e-ayyam ulTa
rasan-e-dam ko sayyaad ne khincha to wahin
aan kar sar pe asiron ke gira dam ulTa
'mushafi' to abhi tha azm-e-safar par tayyar
ghar phira jae hai kyun us ka sar-anjam ulTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.