Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uske kuche se to main be-sar-o-saman nikla

Sayyad Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

uske kuche se to main be-sar-o-saman nikla

Sayyad Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

MORE BYSayyad Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

    us ke kūche se to maiñ be-sar-o-sāmāñ niklā

    hashr kar dūñgā agar qabr se uryāñ niklā

    muntazim ġhair hue laash tire dar se uThī

    haif ghar se na magar pa.e-sāmāñ niklā

    aa ke aġhyār ne dafn-o-kafan tadbīr

    dār-e-duniyā se ye maiñ be-sar-o-sāmāñ niklā

    mah-e-nau dekhte haath baḌhā.e sab ne

    shukr hai ye tire vahshī garebāñ niklā

    merī āñkhoñ ke talātum ne Duboyā mujh ko

    josh-e-girya mirā bā.is-e-tūfāñ niklā

    jān-o-dil ko bhī samajhtā huuñ ki hai maal us

    mujh duniyā meñ kahāñ be-sar-o-sāmāñ niklā

    ātish-e-ishq se ab kaun bachā.e mujh ko

    dil bhī niklā to charāġh-e-tah-e-dāmāñ niklā

    lāsheñ parvānoñ phikvā.īñ mirī laash ke saath

    sub.h ko sohbat-e-jānāñ se ye sāmāñ niklā

    jazb-e-dil dekh to āshiq zarā o zālim

    TukḌe ho ho ke tire tiir paikāñ niklā

    ishq-e-gesū meñ ajab raat kaTī hai merī

    naala dil se koī niklā to pareshāñ niklā

    vasl zikr nahīñ qissa-e-ġham se hāsil

    kyoñ suneñ ham ki kisī aur armāñ niklā

    mere ahbāb ye kahte haiñ ki shā.ir hai 'shafīq'

    hai to jāhil ye magar ḳhuub ġhazal-ḳhvāñ niklā

    us ke kuche se to main be-sar-o-saman nikla

    hashr kar dunga agar qabr se uryan nikla

    muntazim ghair hue lash tere dar se uThi

    haif ghar se na magar tu pae-saman nikla

    aa ke aghyar ne ki dafn-o-kafan ki tadbir

    dar-e-duniya se ye main be-sar-o-saman nikla

    mah-e-nau dekhte hi hath baDhae sab ne

    shukr hai ye tere wahshi ka gareban nikla

    meri aankhon ke talatum ne Duboya mujh ko

    josh-e-girya hi mera bais-e-tufan nikla

    jaan-o-dil ko bhi samajhta hun ki hai mal us ka

    mujh sa duniya mein kahan be-sar-o-saman nikla

    aatish-e-ishq se ab kaun bachae mujh ko

    dil bhi nikla to charagh-e-tah-e-daman nikla

    lashen parwanon ki phikwain meri lash ke sath

    subh ko sohbat-e-jaanan se ye saman nikla

    jazb-e-dil dekh to aashiq ka zara o zalim

    TukDe ho ho ke tere tir ka paikan nikla

    ishq-e-gesu mein ajab raat kaTi hai meri

    nala dil se koi nikla to pareshan nikla

    wasl ka zikr nahin qissa-e-gham se hasil

    kyon sunen hum ki kisi aur ka arman nikla

    mere ahbab ye kahte hain ki shair hai 'shafiq'

    hai to jahil ye magar KHub ghazal-KHwan nikla

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now