uske liye kuchh bhi karo anjam shikayat
us ke liye kuchh bhī karo anjām shikāyat
lagtā hai ki us kā to hai bas kaam shikāyat
jo kuchh use darkār hai vo sab hai mayassar
kis baat kī kartā hai vo gulfām shikāyat
gulshan kī fazā meñ bhī ham āzād kahāñ the
sayyād se karte jo tah-e-dām shikāyat
ham ne hī na ḳhud ko kiyā tere liye tayyār
tujh se nahīñ kuchh gardish-e-ayyām shikāyat
har shaḳhs kī kartā hai shikāyat jo tū ai shaiḳh
aisā na ho paḌ jaa.e tirā naam shikāyat
mauqa hī na paaya kabhī tanhā.ī meñ varna
karte na kabhī tujh se sar-e-ām shikāyat
ham farsh-nashīñ ḳhush haiñ isī baat pe 'bāsir'
pahuñchī to kisī taur lab-e-bām shikāyat
us ke liye kuchh bhi karo anjam shikayat
lagta hai ki us ka to hai bas kaam shikayat
jo kuchh use darkar hai wo sab hai mayassar
kis baat ki karta hai wo gulfam shikayat
gulshan ki faza mein bhi hum aazad kahan the
sayyaad se karte jo tah-e-dam shikayat
hum ne hi na KHud ko kiya tere liye tayyar
tujh se nahin kuchh gardish-e-ayyam shikayat
har shaKHs ki karta hai shikayat jo tu ai shaiKH
aisa na ho paD jae tera nam shikayat
mauqa hi na paya kabhi tanhai mein warna
karte na kabhi tujh se sar-e-am shikayat
hum farsh-nashin KHush hain isi baat pe 'basir'
pahunchi to kisi taur lab-e-baam shikayat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.