uske liye to koi bani hi saza nahin
us ke liye to koī banī hī sazā nahīñ
saarī ḳhatā.eñ merī haiñ us kī ḳhatā nahīñ
hālāt-e-dil-ḳharāsh ne lab us ke sī diye
munsif hamāre shahr kā kuchh boltā nahīñ
kis ne chaman meñ kaaTī hai amn-o-amāñ kī shāḳh
dahshat se ek pattā bhī ab Doltā nahīñ
duniyā faqat hamārī hañsī dekhtī rahī
lekin hamāre ġham se koī āshnā nahīñ
sunte hī zikr merā vo bole raqīb se
'pardesī' aadmī hai koī devtā nahīñ
us ke liye to koi bani hi saza nahin
sari KHataen meri hain us ki KHata nahin
haalat-e-dil-KHarash ne lab us ke si diye
munsif hamare shahr ka kuchh bolta nahin
kis ne chaman mein kaTi hai amn-o-aman ki shaKH
dahshat se ek patta bhi ab Dolta nahin
duniya faqat hamari hansi dekhti rahi
lekin hamare gham se koi aashna nahin
sunte hi zikr mera wo bole raqib se
'pardesi' aadmi hai koi dewta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.