uske qurb ke sare hi aasar lage
us ke qurb ke saare hī āsār lage
havā meñ lahrāte gesū-e-yār lage
dil bhī kyā nairañg-e-sarāb-e-ārzū hai
raunaq dekho to koī bāzār lage
maiñ ghabrā kar tujh ko pukārūñ to ye falak
āñgan biich bahut ūñchī dīvār lage
ik be-ma.anī mahviyyat sī hai shab-o-roz
socho to jo kuchh hai sab bekār lage
merī anā uftādgī meñ bhī kyā hai 'zeb'
koī haath baḌhā.e to talvār lage
us ke qurb ke sare hi aasar lage
hawa mein lahraate gesu-e-yar lage
dil bhi kya nairang-e-sarab-e-arzu hai
raunaq dekho to koi bazar lage
main ghabra kar tujh ko pukarun to ye falak
aangan bich bahut unchi diwar lage
ek be-mani mahwiyyat si hai shab-o-roz
socho to jo kuchh hai sab bekar lage
meri ana uftadgi mein bhi kya hai 'zeb'
koi hath baDhae to talwar lage
- Book : zartaab (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.