uske rang mein rangi guzar jae
us ke rañg meñ rañgī guzar jaa.e
zindagī phir mirī sañvar jaa.e
zindagī maut kī amānat hai
phir bhalā koī kyoñ mukar jaa.e
zindagī ik dhueñ kā marġhola
jab havā tez ho bikhar jaa.e
us ne me.arāj-e-zindagī paa.ī
jo ḳhudā kī razā meñ mar jaa.e
mustahiq log haath malte haiñ
aur gadāgar kī jholī bhar jaa.e
gar hidāyat na ho tirī mujh ko
terā dīvāna phir kidhar jaa.e
ye alāmat bhī hai munāfiq kī
va.ada karke bhī jo mukar jaa.e
zindagī zindagī nahīñ 'nashtar'
jo faqat khel meñ guzar jaa.e
us ke rang mein rangi guzar jae
zindagi phir meri sanwar jae
zindagi maut ki amanat hai
phir bhala koi kyon mukar jae
zindagi ek dhuen ka marghola
jab hawa tez ho bikhar jae
us ne mearaj-e-zindagi pai
jo KHuda ki raza mein mar jae
mustahiq log hath malte hain
aur gadagar ki jholi bhar jae
gar hidayat na ho teri mujh ko
tera diwana phir kidhar jae
ye alamat bhi hai munafiq ki
wada karke bhi jo mukar jae
zindagi zindagi nahin 'nashtar'
jo faqat khel mein guzar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.