uske ruKHsar shabnami jaise
us ke ruḳhsār shabnamī jaise
raushnī par hai raushnī jaise
kaun ye be-naqāb aayā hai
ruk ga.ī chāñd kī hañsī jaise
un ke ahd-e-shabāb kā manzar
gulsitāñ par shaguftagī jaise
un kā chehra hañsī ke aalam meñ
phuul par barq gir ga.ī jaise
un kā andāz-e-guftugū aisā
ābshāroñ kī naġhmagī jaise
un kā ahd-e-shabāb ai 'arshad'
merī rañgīn shā.irī jaise
us ke ruKHsar shabnami jaise
raushni par hai raushni jaise
kaun ye be-naqab aaya hai
ruk gai chand ki hansi jaise
un ke ahd-e-shabab ka manzar
gulsitan par shaguftagi jaise
un ka chehra hansi ke aalam mein
phul par barq gir gai jaise
un ka andaz-e-guftugu aisa
aabshaaron ki naghmagi jaise
un ka ahd-e-shabab ai 'arshad'
meri rangin shairi jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.