uske tarz-e-guftugu pe dil fida ho jaega
us ke tarz-e-guftugū pe dil fidā ho jā.egā
haañ magar ye dil kabhī sahrā numā ho jā.egā
ho agar mumkin sadaf keī raah dikhlā de use
varna har qatra havāoñ meñ havā ho jā.egā
aadmī ne aaj tak khoyā nahīñ apnā vajūd
ā.īna TuuTā agar to hādisa ho jā.egā
bāñdh le raḳht-e-safar jab fāsle kā Dar nahīñ
bā-amal hai jo bhī manzil āshnā ho jā.egā
soch kar rakhnā hamesha apnī chāhat kā bharam
varna ḳhud se tū hī ḳhud nā-āshnā ho jā.egā
us ke tarz-e-guftugu pe dil fida ho jaega
han magar ye dil kabhi sahra numa ho jaega
ho agar mumkin sadaf kei rah dikhla de use
warna har qatra hawaon mein hawa ho jaega
aadmi ne aaj tak khoya nahin apna wajud
aaina TuTa agar to hadisa ho jaega
bandh le raKHt-e-safar jab fasle ka Dar nahin
ba-amal hai jo bhi manzil aashna ho jaega
soch kar rakhna hamesha apni chahat ka bharam
warna KHud se tu hi KHud na-ashna ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.