uske zaKHmon ka yun sila dena
us ke zaḳhmoñ kā yuuñ sila denā
gale lagnā use duā denā
rukne vāloñ se iltijā kaisī
jaane vāloñ ko kyā sadā denā
ek muddat ke baad ham pe khulā
kitnā āsān thā bhulā denā
apne āġhosh meñ use pā kar
ik hunar hai use gañvā denā
pūchhe jo koī zindagī kyā hai
musht bhar ḳhaak tum uḌā denā
us ke zaKHmon ka yun sila dena
gale lagna use dua dena
rukne walon se iltija kaisi
jaane walon ko kya sada dena
ek muddat ke baad hum pe khula
kitna aasan tha bhula dena
apne aaghosh mein use pa kar
ek hunar hai use ganwa dena
puchhe jo koi zindagi kya hai
musht bhar KHak tum uDa dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.