uski aankh mein aisa KHwab utara hai
us kī aañkh meñ aisā ḳhvāb utārā hai
jis ke andar merā jīvan saarā hai
sach pūchho to jīvan ham ko jiitā hai
is jīvan ko ham ne kahāñ guzārā hai
kamre meñ hai raushnī tere bāloñ se
bāloñ meñ jo phuul hai ek sitārā hai
lafzoñ se ḳhushbū sī aane lagtī hai
nāchte haiñ vo lafz ki jinheñ pukārā hai
dhartī se ambar tak dauḌ lagā.ī hai
DhūñD rahā huuñ jaane kahāñ kinārā hai
us ki aankh mein aisa KHwab utara hai
jis ke andar mera jiwan sara hai
sach puchho to jiwan hum ko jita hai
is jiwan ko hum ne kahan guzara hai
kamre mein hai raushni tere baalon se
baalon mein jo phul hai ek sitara hai
lafzon se KHushbu si aane lagti hai
nachte hain wo lafz ki jinhen pukara hai
dharti se ambar tak dauD lagai hai
DhunD raha hun jaane kahan kinara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.