uski aankhen ghazalon si thin
us kī āñkheñ ġhazāloñ sī thiiñ
mere ḳhvāboñ ḳhayāloñ sī thiiñ
us kī bātoñ se ghar bhar gayā
us kī bāteñ ujāloñ sī thiiñ
raah taktī huī shaam kī
chand ghaḌiyāñ bhī sāloñ sī thiiñ
dil kī vīrān dīvār pe
aap kī yādeñ jāloñ sī thiiñ
os aise jhaḌī phuul pe
buuñd shabnam kī chhāloñ sī thiiñ
jo dalīleñ vafāoñ kī deñ
sab kitābī havāloñ sī thiiñ
terī merī ġhalat-fahmiyāñ
chand mushkil savāloñ sī thiiñ
kaun kis se khulā kyā pata
chābiyāñ saarī tāloñ sī thiiñ
din tire saath resham se the
raat pashmīna shawloñ sī thiiñ
us ki aankhen ghazalon si thin
mere KHwabon KHayalon si thin
us ki baaton se ghar bhar gaya
us ki baaten ujalon si thin
rah takti hui sham ki
chand ghaDiyan bhi salon si thin
dil ki viran diwar pe
aap ki yaaden jalon si thin
os aise jhaDi phul pe
bund shabnam ki chhaalon si thin
jo dalilen wafaon ki den
sab kitabi hawalon si thin
teri meri ghalat-fahmiyan
chand mushkil sawalon si thin
kaun kis se khula kya pata
chabiyan sari talon si thin
din tere sath resham se the
raat pashmina shawlon si thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.