uski aankhen us ka chehra mat puchho
us kī āñkheñ us kā chehra mat pūchho
kitnā gahrā hai vo dariyā mat pūchho
kitne saal guzāreñ haiñ tab dekhā hai
us kī aañkh meñ kis kā chehra mat pūchho
jis kī ḳhātir sab se laḌtā rahtā huuñ
kyā hai merā us se rishta mat pūchho
bachchoñ ko schōl bhī apnā yaad nahīñ
kāñdhe se kab utrā basta mat pūchho
lauT ke aaya mele se jo rote hue
ḳhālī haath hai kis kā bachcha mat pūchho
aadhī raat meñ raqs udāsī kartī hai
pūchh rahe ho merā kamrā mat pūchho
us ki aankhen us ka chehra mat puchho
kitna gahra hai wo dariya mat puchho
kitne sal guzaren hain tab dekha hai
us ki aankh mein kis ka chehra mat puchho
jis ki KHatir sab se laDta rahta hun
kya hai mera us se rishta mat puchho
bachchon ko school bhi apna yaad nahin
kandhe se kab utra basta mat puchho
lauT ke aaya mele se jo rote hue
KHali hath hai kis ka bachcha mat puchho
aadhi raat mein raqs udasi karti hai
puchh rahe ho mera kamra mat puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.