uski aankhon mein barha maine KHud ko hansta hua sa paya hai
uski aankhon mein barha maine KHud ko hansta hua sa paya hai
Shahjahan Jafri Hijab Amrohvi
MORE BYShahjahan Jafri Hijab Amrohvi
us kī āñkhoñ meñ bārhā maiñ ne ḳhud ko hañstā huā sā paayā hai
us kī āvāz kī khanak meñ kabhī merā lahja sā gungunāyā hai
merī zulfeñ khulīñ to vo mahkā hoñT us ke hile to maiñ bolī
merī sargoshiyoñ meñ bhī aksar zikr ban kar vo muskurāyā hai
maiñ ne sochā jo us ke baare meñ Dhal gayā ḳhud vo mere paikar meñ
jab pukārā hai us ko ghabrā kar vo merī dhaḌkanoñ tak aayā hai
kaj-ravish āsmāñ ko kyā kahiye ab to saayā gurez-pā sā huā
DhūñDne us ko bārhā kal shab dar-ba-dar āftāb aayā hai
kis ko kahte haiñ jism-o-jān kā qurb maiñ nahīñ jāntī magar phir bhī
chauñk uTThī huuñ niiñd se aksar jab vo mere shahar tak aayā hai
kahnā chāhā thā kuchh dam-e-ruḳhsat ruk gayā thā magar na jaane kyuuñ
terī is an-kahī ne barsoñ tak mujh ko pahroñ lahū rulāyā hai
chāhatoñ meñ shu.ūr hai kitnā nisbateñ haiñ ġhayūr kis darja
jab huī sharmsār maiñ us kī chashm-e-tar meñ 'hijāb' aayā hai
us ki aankhon mein barha main ne KHud ko hansta hua sa paya hai
us ki aawaz ki khanak mein kabhi mera lahja sa gungunaya hai
meri zulfen khulin to wo mahka honT us ke hile to main boli
meri sargoshiyon mein bhi aksar zikr ban kar wo muskuraya hai
main ne socha jo us ke bare mein Dhal gaya KHud wo mere paikar mein
jab pukara hai us ko ghabra kar wo meri dhaDkanon tak aaya hai
kaj-rawish aasman ko kya kahiye ab to saya gurez-pa sa hua
DhunDne us ko barha kal shab dar-ba-dar aaftab aaya hai
kis ko kahte hain jism-o-jaan ka qurb main nahin jaanti magar phir bhi
chaunk uTThi hun nind se aksar jab wo mere shahar tak aaya hai
kahna chaha tha kuchh dam-e-ruKHsat ruk gaya tha magar na jaane kyun
teri is an-kahi ne barson tak mujh ko pahron lahu rulaya hai
chahaton mein shuur hai kitna nisbaten hain ghayur kis darja
jab hui sharmsar main us ki chashm-e-tar mein 'hijab' aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.