uski aankhon mein ek sawal sa tha
us kī āñkhoñ meñ ik savāl sā thā
mere dil meñ koī malāl sā thā
dhul gayā āñsuoñ meñ saarā vajūd
ishq meñ ye ajab kamāl sā thā
jism kī Daal par jhukā thā ḳhvāb
ruuh sarshār dil nihāl sā thā
guftugū kar rahī thī ḳhāmoshī
hijr kī raah meñ visāl sā thā
ḳhvāhisheñ har ghaḌī uruuj pe thiiñ
vaqt ko har ghaḌī zavāl sā thā
maiñ bhī thī āshnā rivāyat se
us ko bhī zabt meñ kamāl sā thā
ḳhvāb-dar-ḳhvāb thiiñ mulāqāteñ
dard-e-dil vaj.h-e-indimāl sā thā
aa.ina ban gayā hai mere liye
ek chehra ki be-misāl sā thā
us ki aankhon mein ek sawal sa tha
mere dil mein koi malal sa tha
dhul gaya aansuon mein sara wajud
ishq mein ye ajab kamal sa tha
jism ki Dal par jhuka tha KHwab
ruh sarshaar dil nihaal sa tha
guftugu kar rahi thi KHamoshi
hijr ki rah mein visal sa tha
KHwahishen har ghaDi uruj pe thin
waqt ko har ghaDi zawal sa tha
main bhi thi aashna riwayat se
us ko bhi zabt mein kamal sa tha
KHwab-dar-KHwab thin mulaqaten
dard-e-dil wajh-e-indimal sa tha
aaina ban gaya hai mere liye
ek chehra ki be-misal sa tha
- Book : Shakh-e-gazal (Pg. 45)
- Author : Mah-e-talat Zahidi
- Publication : Baikan Books Gulgisht Multan, Kitab nagar Hassan (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.