uski ana ke but ko baDa kar ke dekhte
us kī anā ke but ko baḌā kar ke dekhte
miTTī ke aadmī ko ḳhudā kar ke dekhte
māyūsiyoñ meñ yuuñ hī tamannā ujaaḌ dī
uTThe hue the haath duā kar ke dekhte
dushman kī chaap sun ke na ḳhāmosh baiThte
jo farz tum pe thā vo adā kar ke dekhte
be-mehrī-e-zamāna kā shikva fuzūl hai
nikle the ghar se gar to sadā kar ke dekhte
us ke baġhair zindagī kitnī fuzūl hai
tasvīr us kī dil se judā kar ke dekhte
gardan jhukā ke chalne meñ kitnā vaqār hai
apnī anā se ḳhud ko rihā kar ke dekhte
taaza havā meñ uḌne kī ḳhvāhish thī gar 'sadīd'
tum apnā jism vaqf-e-fazā kar ke dekhte
us ki ana ke but ko baDa kar ke dekhte
miTTi ke aadmi ko KHuda kar ke dekhte
mayusiyon mein yun hi tamanna ujaD di
uTThe hue the hath dua kar ke dekhte
dushman ki chap sun ke na KHamosh baiThte
jo farz tum pe tha wo ada kar ke dekhte
be-mehri-e-zamana ka shikwa fuzul hai
nikle the ghar se gar to sada kar ke dekhte
us ke baghair zindagi kitni fuzul hai
taswir us ki dil se juda kar ke dekhte
gardan jhuka ke chalne mein kitna waqar hai
apni ana se KHud ko riha kar ke dekhte
taza hawa mein uDne ki KHwahish thi gar 'sadid'
tum apna jism waqf-e-faza kar ke dekhte
- Book : Asaleeb (Pg. 212)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.