uski baaton mein baDi fikr hai gahrai hai
us kī bātoñ meñ baḌī fikr hai gahrā.ī hai
log use kahte haiñ dīvāna hai saudā.ī hai
aaj kyā baat huī aaj mire dil ke qarīb
aap ke dil ke dhaḌakne kī sadā aa.ī hai
dekhne vaalā samajh jaatā hai is kā mafhūm
ḳhāmushī meñ bhī baḌī quvvat-e-goyā.ī hai
aap kī baat pe maiñ aaj yaqīñ kyoñ na karūñ
aap ne merī mohabbat kī qasam khaa.ī hai
aap ko ek nazar aaj hī dekhā hai 'kalīm'
aisā lagtā hai ki barsoñ kī shanāsā.ī hai
us ki baaton mein baDi fikr hai gahrai hai
log use kahte hain diwana hai saudai hai
aaj kya baat hui aaj mere dil ke qarib
aap ke dil ke dhaDakne ki sada aai hai
dekhne wala samajh jata hai is ka mafhum
KHamushi mein bhi baDi quwwat-e-goyai hai
aap ki baat pe main aaj yaqin kyon na karun
aap ne meri mohabbat ki qasam khai hai
aap ko ek nazar aaj hi dekha hai 'kalim'
aisa lagta hai ki barson ki shanasai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.