Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski hasti qaza ki qaid mein hai

Imran Rahib

uski hasti qaza ki qaid mein hai

Imran Rahib

MORE BYImran Rahib

    us hastī qazā qaid meñ hai

    jo parinda havā qaid meñ hai

    is se behtar hai yaar mar jā.ūñ

    merā jiinā ḳhudā qaid meñ hai

    shab se ḳhā.if hai niiñd titlī

    ḳhvāb dast-e-hinā qaid meñ hai

    dil mirī aañkh meñ dhaḌaktā hai

    aañkh terī adā qaid meñ hai

    sab qabīle haiñ ḳhuun ke pyāse

    saarī bastī anā qaid meñ hai

    chhoḌ kar phir se lauT aatā hai

    mirī kis duā qaid meñ hai

    vo ziyā ko bhī phūñk saktā hai

    jo añdherā ziyā qaid meñ hai

    vo hai āzād har havāle se

    jo bashar karbalā qaid meñ hai

    maiñ javānī meñ ho gayā būḌhā

    ibtidā intihā qaid meñ hai

    tum shifā DhūñDte ho duniyā meñ

    aur vo ḳhāk-e-shifā qaid meñ hai

    jaan 'rāhib' samā.atoñ hujūm

    tirī andhī sadā qaid meñ hai

    us ki hasti qaza ki qaid mein hai

    jo parinda hawa ki qaid mein hai

    is se behtar hai yar mar jaun

    mera jina KHuda ki qaid mein hai

    shab se KHaif hai nind ki titli

    KHwab dast-e-hina ki qaid mein hai

    dil meri aankh mein dhaDakta hai

    aankh teri ada ki qaid mein hai

    sab qabile hain KHun ke pyase

    sari basti ana ki qaid mein hai

    chhoD kar phir se lauT aata hai

    tu meri kis dua ki qaid mein hai

    wo ziya ko bhi phunk sakta hai

    jo andhera ziya ki qaid mein hai

    wo hai aazad har hawale se

    jo bashar karbala ki qaid mein hai

    main jawani mein ho gaya buDha

    ibtida intiha ki qaid mein hai

    tum shifa DhunDte ho duniya mein

    aur wo KHak-e-shifa ki qaid mein hai

    jaan 'rahib' samaaton ka hujum

    teri andhi sada ki qaid mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now