uski hun ya apni hun
us kī huuñ yā apnī huuñ
koī batā.e kis kī huuñ
apne ghar meñ rah kar bhī
us ke ghar meñ rahtī huuñ
yā phir vo hī sachchā hai
yā phir maiñ hī jhūTī huuñ
tanhā.ī so jaatī hai
aur maiñ jāgtī rahtī huuñ
patthar bāteñ karte haiñ
maiñ bhī bāteñ kartī huuñ
vo to sīdhā-sāda hai
par maiñ ḳhud se Dartī huuñ
us ki hun ya apni hun
koi batae kis ki hun
apne ghar mein rah kar bhi
us ke ghar mein rahti hun
ya phir wo hi sachcha hai
ya phir main hi jhuTi hun
tanhai so jati hai
aur main jagti rahti hun
patthar baaten karte hain
main bhi baaten karti hun
wo to sidha-sada hai
par main KHud se Darti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.