uski jhil aankhon se dur tak main dekhungi
us kī jhiil āñkhoñ se duur tak maiñ dekhūñgī
be-qarār tanhā.ī ashk-bār ḳhāmoshī
aaj tere pahlū meñ maiñ ne phir se dekhī hai
ik javān ra.anā.ī dil-figār ḳhāmoshī
apne qīmtī lamhe mujh pe vārne vaale
tirī qurbatoñ meñ thī be-shumār ḳhāmoshī
ham-safar ne rakkhā thā bharam apne hone kā
dil-fareb sargoshī be-qarār ḳhāmoshī
kaash terī āñkhoñ meñ ḳhud ko dekh paatī maiñ
phir na ghar 'kañval' kartī sogvār ḳhāmoshī
us ki jhil aankhon se dur tak main dekhungi
be-qarar tanhai ashk-bar KHamoshi
aaj tere pahlu mein main ne phir se dekhi hai
ek jawan ranai dil-figar KHamoshi
apne qimti lamhe mujh pe warne wale
teri qurbaton mein thi be-shumar KHamoshi
ham-safar ne rakkha tha bharam apne hone ka
dil-fareb sargoshi be-qarar KHamoshi
kash teri aankhon mein KHud ko dekh pati main
phir na ghar 'kanwal' karti sogwar KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.