uski KHushbu KHarid lae hain
us kī ḳhushbū ḳharīd laa.e haiñ
phuul jaadū ḳharīd laa.e haiñ
ik dukāñ se gulāb qistoñ par
terī ḳhushbū ḳharīd laa.e haiñ
aaj bhī aslī āñsuoñ se ham
naqlī aañsū ḳharīd laa.e haiñ
maiñ ne do seb kyā ḳharīd liye
dost chāqū ḳharīd laa.e haiñ
jo mohabbat luTāyā karte the
vo tarāzū ḳharīd laa.e haiñ
aaj ham husn kī numā.ish se
dil pe qaabū ḳharīd laa.e haiñ
ek zinda charāġh ke badle
murda jugnū ḳharīd laa.e haiñ
us ki KHushbu KHarid lae hain
phul jadu KHarid lae hain
ek dukan se gulab qiston par
teri KHushbu KHarid lae hain
aaj bhi asli aansuon se hum
naqli aansu KHarid lae hain
main ne do seb kya KHarid liye
dost chaqu KHarid lae hain
jo mohabbat luTaya karte the
wo taraazu KHarid lae hain
aaj hum husn ki numaish se
dil pe qabu KHarid lae hain
ek zinda charagh ke badle
murda jugnu KHarid lae hain
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 106)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.