uski KHushbu ko ghazlon mein Dhaalen zara aisa tarz-e-suKHan aur bayan laiye
uski KHushbu ko ghazlon mein Dhaalen zara aisa tarz-e-suKHan aur bayan laiye
Shahid Anwar
MORE BYShahid Anwar
us kī ḳhushbū ko ġhazloñ meñ Dhāleñ zarā aisā tarz-e-suḳhan aur bayāñ lā.iye
giit gaa.eñ havā.eñ bhī ho ke magan phir se gulshan meñ vo shoḳhiyāñ lā.iye
chāñdnī raat ġham kī alāmat to hai husn is kā misāloñ meñ miltā nahīñ
ishq karne ke ādāb ye bhī to haiñ apne lahje meñ ḳhāmoshiyāñ lā.iye
jab bhī paa.ī haiñ sauġhāt meñ zulmateñ ek tohfa tulū-e-sahar bhī milā
inqilāb-e-zamāna jo darkār ho zindagī ke liye āñdhiyāñ lā.iye
mogrā motiyā sausan-o-chāñdnī raat raanī chañbelī banafsha kañval
gulsitāñ meñ bahāreñ haiñ ai dosto lā.iye DhūñD kar titliyāñ lā.iye
pur-sukūñ thā samundar to ḳhāmosh the Thahre paanī meñ kyā bādbāñ kholte
aaj tuġhyāniyāñ aa.ī haiñ jhuum kar nāḳhudāo zarā kashtiyāñ lā.iye
the 'mushīr' aur 'qaisar' jahāñ ke amiiñ dillī vāloñ kī vo raunaqeñ kyā huiiñ
lā.iye jāma.a masjid kī āġhosh meñ 'shāhid' anvar vahī hastiyāñ lā.iye
sandalī mushk-o-ambar se aur uud se pairahan 'shāhid' anvar vo mahkeñ sadā
jo shahīdoñ ke tan kī ho zīnat vahī āsmānī qabā parniyāñ lā.iye
us ki KHushbu ko ghazlon mein Dhaalen zara aisa tarz-e-suKHan aur bayan laiye
git gaen hawaen bhi ho ke magan phir se gulshan mein wo shoKHiyan laiye
chandni raat gham ki alamat to hai husn is ka misalon mein milta nahin
ishq karne ke aadab ye bhi to hain apne lahje mein KHamoshiyan laiye
jab bhi pai hain saughat mein zulmaten ek tohfa tulu-e-sahar bhi mila
inqilab-e-zamana jo darkar ho zindagi ke liye aandhiyan laiye
mogra motiya sausan-o-chandni raat rani chanbeli banafsha kanwal
gulsitan mein bahaaren hain ai dosto laiye DhunD kar titliyan laiye
pur-sukun tha samundar to KHamosh the Thahre pani mein kya baadban kholte
aaj tughyaniyan aai hain jhum kar naKHudao zara kashtiyan laiye
the 'mushir' aur 'qaisar' jahan ke amin dilli walon ki wo raunaqen kya huin
laiye jama masjid ki aaghosh mein 'shahid' anwar wahi hastiyan laiye
sandali mushk-o-ambar se aur ud se pairahan 'shahid' anwar wo mahken sada
jo shahidon ke tan ki ho zinat wahi aasmani qaba parniyan laiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.