uski KHwahish hai yahi harf-e-wazahat ke baghair
us kī ḳhvāhish hai yahī harf-e-vazāhat ke baġhair
ab koī ḳhvāb bhī dekhe na ijāzat ke baġhair
ham ko DhūñDo to hameñ khone kī ḳhātir DhūñDo
ḳhvāb ta.abīr nahīñ hote haiñ hasrat ke baġhair
dil ko ik kār-e-musalsal ne rakhā hai ābād
ek lamha bhī nahīñ guzrā mohabbat ke baġhair
yuuñ bhī dushvār hai āsūda-e-sahrā honā
aur jab ḳhaak bhī ho jaanā ho vahshat ke baġhair
vaqt saffāk hai itnā kabhī sochā bhī na thā
ham use yaad na kar pā.eñge zahmat ke baġhair
ham tire qarya-e-jāñ-tāb meñ itnā Thahre
ya.anī ik lamha guzār aa.e haiñ ujlat ke baġhair
ab to ham ḳhud se bhī kam-kam hī milā karte haiñ
kisī ḳhvāhish se alag aur zarūrat ke baġhair
us ki KHwahish hai yahi harf-e-wazahat ke baghair
ab koi KHwab bhi dekhe na ijazat ke baghair
hum ko DhunDo to hamein khone ki KHatir DhunDo
KHwab tabir nahin hote hain hasrat ke baghair
dil ko ek kar-e-musalsal ne rakha hai aabaad
ek lamha bhi nahin guzra mohabbat ke baghair
yun bhi dushwar hai aasuda-e-sahra hona
aur jab KHak bhi ho jaana ho wahshat ke baghair
waqt saffak hai itna kabhi socha bhi na tha
hum use yaad na kar paenge zahmat ke baghair
hum tere qarya-e-jaan-tab mein itna Thahre
yani ek lamha guzar aae hain ujlat ke baghair
ab to hum KHud se bhi kam-kam hi mila karte hain
kisi KHwahish se alag aur zarurat ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.