uski marzi ke bina uski suhulat ke baghair
us kī marzī ke binā us kī suhūlat ke baġhair
aaj ik shaḳhs se milnā hai ijāzat ke baġhair
ham tire ġham se pareshān bahut haiñ lekin
niiñd aatī hī nahīñ yaad kī lazzat ke baġhair
rāt-bhar koī na.ī fikr lagī rahtī hai
din guzartā hī nahīñ sar pe musībat ke baġhair
us ko jaane se na rokeñge ki ham jānte haiñ
jang jiitī hī nahīñ jaatī shahādat ke baġhair
haañ yahī ḳhūbī zarūrī hai vagarna 'dānish'
aadmī aadmī kaise ho mohabbat ke baġhair
us ki marzi ke bina us ki suhulat ke baghair
aaj ek shaKHs se milna hai ijazat ke baghair
hum tere gham se pareshan bahut hain lekin
nind aati hi nahin yaad ki lazzat ke baghair
raat-bhar koi nai fikr lagi rahti hai
din guzarta hi nahin sar pe musibat ke baghair
us ko jaane se na rokenge ki hum jaante hain
jang jiti hi nahin jati shahadat ke baghair
han yahi KHubi zaruri hai wagarna 'danish'
aadmi aadmi kaise ho mohabbat ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.