uski mohabbaton ka tariqa kuchh aur hai
us kī mohabbatoñ kā tarīqa kuchh aur hai
kahtā vo mujh se aur hai kartā kuchh aur hai
jo us pe bīt.tī hai vo mā'lūm hai mujhe
jab us se pūchhtā huuñ batātā kuchh aur hai
vo bhī samajhtā hai ki judā kyoñ hue haiñ ham
ye maiñ bhī jāntā huuñ ki qissa kuchh aur hai
panchoñ kī baat maan leñ kis tarh ham ki jab
mere aur us ke darmiyāñ jhagḌā kuchh aur hai
us ke baġhair chain bhī paḌtā nahīñ jise
samjhātā aur kuchh huuñ samajhtā kuchh aur hai
kar ai ġhazāl-e-'ishq mire shahr-e-dil kī sair
sahrāoñ meñ ġhubār uḌānā kuchh aur hai
yāroñ se milte-julte rahā kījiye 'jamāl'
yāroñ ke biich in dinoñ charchā kuchh aur hai
us ki mohabbaton ka tariqa kuchh aur hai
kahta wo mujh se aur hai karta kuchh aur hai
jo us pe bitti hai wo ma'lum hai mujhe
jab us se puchhta hun batata kuchh aur hai
wo bhi samajhta hai ki juda kyon hue hain hum
ye main bhi jaanta hun ki qissa kuchh aur hai
panchon ki baat man len kis tarh hum ki jab
mere aur us ke darmiyan jhagDa kuchh aur hai
us ke baghair chain bhi paDta nahin jise
samjhata aur kuchh hun samajhta kuchh aur hai
kar ai ghazal-e-'ishq mere shahr-e-dil ki sair
sahraon mein ghubar uDana kuchh aur hai
yaron se milte-julte raha kijiye 'jamal'
yaron ke bich in dinon charcha kuchh aur hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 86)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.