uski nahin KHudai ki us ka KHuda nahin
us kī nahīñ ḳhudā.ī ki us kā ḳhudā nahīñ
tum jis ko mil ga.e use phir kyā milā nahīñ
sajde se sar uThāne ko jī chāhtā nahīñ
ab yā to ham nahīñ dar-e-dildār yā nahīñ
ik paikar-e-ḳhayāl kī allāh re mahviyat
maiñ ḳhud bhī ab nigāh meñ apnī rahā nahīñ
mahshar nisār us nigah-e-sharmsār par
kahnā paḌā ḳhudā se ye qātil mirā nahīñ
vo tinke jab uThā.e jalā Daale barq ne
gulshan meñ āshiyāñ kabhī apnā banā nahīñ
hadd-e-nigāh kab tirī rif.at ko pā sake
jalva tirā muqayyad-e-arz-o-samā nahīñ
darkār hai nigāh-e-karam varna ai karīm
mere liye ḳhazāna-e-qudrat meñ kyā nahīñ
nazreñ judā judā haiñ ḳhayālāt muḳhtalif
merī nazar se koī nahīñ dekhtā nahīñ
ik vaqfa-e-hayāt hai duniyā hai jis kā naam
itnī sī kā.enāt ko maiñ chāhtā nahīñ
is e'tinā kī daad bhī ai be-niyāz-e-ḳhalq
merā sar-e-niyāz kahīñ par jhukā nahīñ
andāza-e-jamāl ba-qadr-e-nigāh hai
chashm-e-kalīm jalva-tarāz-e-adā nahīñ
tū hī batā ki jaa.e kahāñ tujh ko chhoḌ kar
'afqar' tirā gadā hai kisī kā gadā nahīñ
us ki nahin KHudai ki us ka KHuda nahin
tum jis ko mil gae use phir kya mila nahin
sajde se sar uThane ko ji chahta nahin
ab ya to hum nahin dar-e-dildar ya nahin
ek paikar-e-KHayal ki allah re mahwiyat
main KHud bhi ab nigah mein apni raha nahin
mahshar nisar us nigah-e-sharmsar par
kahna paDa KHuda se ye qatil mera nahin
wo tinke jab uThae jala Dale barq ne
gulshan mein aashiyan kabhi apna bana nahin
hadd-e-nigah kab teri rifat ko pa sake
jalwa tera muqayyad-e-arz-o-sama nahin
darkar hai nigah-e-karam warna ai karim
mere liye KHazana-e-qudrat mein kya nahin
nazren juda juda hain KHayalat muKHtalif
meri nazar se koi nahin dekhta nahin
ek waqfa-e-hayat hai duniya hai jis ka nam
itni si kaenat ko main chahta nahin
is e'tina ki dad bhi ai be-niyaz-e-KHalq
mera sar-e-niyaz kahin par jhuka nahin
andaza-e-jamal ba-qadr-e-nigah hai
chashm-e-kalim jalwa-taraaz-e-ada nahin
tu hi bata ki jae kahan tujh ko chhoD kar
'afqar' tera gada hai kisi ka gada nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.