Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski nazar mein pinhan mohabbat pe rae do

Zarrin Munavvar

uski nazar mein pinhan mohabbat pe rae do

Zarrin Munavvar

MORE BYZarrin Munavvar

    us nazar meñ pinhāñ mohabbat pe raa.e do

    phir shahar-e-kam-nigah basārat pe raa.e do

    maiñ ne kahā ki aap ke charche haiñ chār-sū

    us ne kahā nahīñ mirī shohrat pe raa.e do

    jis ko tumhārī yaad ne patthar banā diyā

    palkeñ uThāo us shabāhat pe raa.e do

    apne vazīfe yaad hoñge tumheñ magar

    merī vafā pahlī tilāvat pe raa.e do

    jis ne taḌaptī lāDlī būḌhe ko bech

    tum us ġharīb-e-shahr hājat pe raa.e do

    ik bojh kokh meñ liye andhī faqīrnī

    kahne lagī mujhe mirī hurmat pe raa.e do

    maiñ chāhtī huuñ sach inhī hoñToñ se ho bayāñ

    dekho mirī taraf mirī hālat pe raa.e do

    phir yuuñ huā vo der talak chīḳhtī rahī

    maiñ ne faqat kahā thā mohabbat pe raa.e do

    us ki nazar mein pinhan mohabbat pe rae do

    phir shahar-e-kam-nigah ki basarat pe rae do

    main ne kaha ki aap ke charche hain chaar-su

    us ne kaha nahin meri shohrat pe rae do

    jis ko tumhaari yaad ne patthar bana diya

    palken uThao us ki shabahat pe rae do

    apne wazife yaad hi honge tumhein magar

    meri wafa ki pahli tilawat pe rae do

    jis ne taDapti laDli buDhe ko bech di

    tum us gharib-e-shahr ki hajat pe rae do

    ek bojh kokh mein liye andhi faqirni

    kahne lagi mujhe meri hurmat pe rae do

    main chahti hun sach inhi honTon se ho bayan

    dekho meri taraf meri haalat pe rae do

    phir yun hua wo der talak chiKHti rahi

    main ne faqat kaha tha mohabbat pe rae do

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now