uski nazron mein ab dhuan hun main
us kī nazroñ meñ ab dhuāñ huuñ maiñ
ab zamīñ huuñ na āsmāñ huuñ maiñ
nā-mukammal sī dāstāñ huuñ maiñ
dil-e-nākām kī zabāñ huuñ maiñ
log armān jin ko kahte haiñ
un charāġhoñ kā hī dhuāñ huuñ maiñ
kyā huā vo jo mujh se kahtā thā
terī duniyā tirā jahāñ huuñ maiñ
had nahīñ ālam-e-tasavvur kī
kyā batā.ūñ kahāñ kahāñ huuñ maiñ
jo ki taqdīr hī se miltī hai
aisī manzil kā kārvāñ huuñ maiñ
ishq kahte haiñ jis ko ai sonī
raaz hai dil kā rāz-dāñ huuñ maiñ
us ki nazron mein ab dhuan hun main
ab zamin hun na aasman hun main
na-mukammal si dastan hun main
dil-e-nakaam ki zaban hun main
log arman jin ko kahte hain
un charaghon ka hi dhuan hun main
kya hua wo jo mujh se kahta tha
teri duniya tera jahan hun main
had nahin aalam-e-tasawwur ki
kya bataun kahan kahan hun main
jo ki taqdir hi se milti hai
aisi manzil ka karwan hun main
ishq kahte hain jis ko ai soni
raaz hai dil ka raaz-dan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.