uski ruswai mein kuchh hath mera hai to sahi
us kī rusvā.ī meñ kuchh haath mirā hai to sahī
kuchh na kuchh mujh meñ bhī andāz-e-jafā hai to sahī
raat furqat kī shab-e-tār sī lagtī hai to kyā
ek ummīd kā āñkhoñ meñ diyā hai to sahī
ajnabiyyat kā vo ehsās dilātā hai magar
ab bhī guftār meñ ik rañg-e-vafā hai to sahī
ek muddat se jo ḳhāmosh tamāshā.ī haiñ
un nigāhoñ meñ koī ḳhvāb sajā hai to sahī
pesh-ḳhema kisī tūfān kā ho saktā hai
is ḳhamoshī meñ koī raaz chhupā hai to sahī
us ki ruswai mein kuchh hath mera hai to sahi
kuchh na kuchh mujh mein bhi andaz-e-jafa hai to sahi
raat furqat ki shab-e-tar si lagti hai to kya
ek ummid ka aankhon mein diya hai to sahi
ajnabiyyat ka wo ehsas dilata hai magar
ab bhi guftar mein ek rang-e-wafa hai to sahi
ek muddat se jo KHamosh tamashai hain
un nigahon mein koi KHwab saja hai to sahi
pesh-KHema kisi tufan ka ho sakta hai
is KHamoshi mein koi raaz chhupa hai to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.