us kī to ek dil-lagī apnā banā ke chhoḌ de
jaa.e vo ab kahāñ jise sab se chhuḌā ke chhoḌ de
khel nahīñ hai bad-gumāñ qaul-o-qarār bhūlnā
phir se aazmā ke dekh yaad dilā ke chhoḌ de
nibh chukā zindagī kā saath jab ye abhī se haal hai
bojh baTāne vaalā hī biich meñ lā ke chhoḌ de
us se kaheñ to kyā kaheñ jis ke mizāj meñ ye zid
jab na lagī bujhā sake aag lagā ke chhoḌ de
raah tavīl paañv shal aur ye ham-safar kā haal
le to chale sambhāl ke biich meñ lā ke chhoḌ de
us ki to ek dil-lagi apna bana ke chhoD de
jae wo ab kahan jise sab se chhuDa ke chhoD de
khel nahin hai bad-guman qaul-o-qarar bhulna
phir se aazma ke dekh yaad dila ke chhoD de
nibh chuka zindagi ka sath jab ye abhi se haal hai
bojh baTane wala hi bich mein la ke chhoD de
us se kahen to kya kahen jis ke mizaj mein ye zid
jab na lagi bujha sake aag laga ke chhoD de
rah tawil panw shal aur ye ham-safar ka haal
le to chale sambhaal ke bich mein la ke chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.