uski yaad ka itr laga kar nikla tha
us kī yaad kā itr lagā kar niklā thā
kyā saudā maiñ sar meñ le kar niklā thā
sub.h ke sūraj kā chehra thā raḳhshanda
raat ke ḳhuuñ kā ġhāza mal kar niklā thā
jaane kyoñ apne ko shīsha jaanā phir
ḳhud hī haath meñ sañg uThā kar niklā thā
us ne raah ke saare patthar toḌ diye
vo jo pahlī Thokar khā kar niklā thā
rañgīnī aur ḳhushbū mujh par qurbāñ thī
us kā qasīda jab maiñ paḌh kar niklā thā
jaane insāñ ne kyā sochā hogā jab
sūraj pahlī baar falak par niklā thā
daur-e-ḳhizāñ ke ḳhatm kā yuuñ elaan huā
taaza pattā shāḳh-e-shajar par niklā thā
us ki yaad ka itr laga kar nikla tha
kya sauda main sar mein le kar nikla tha
subh ke suraj ka chehra tha raKHshanda
raat ke KHun ka ghaza mal kar nikla tha
jaane kyon apne ko shisha jaana phir
KHud hi hath mein sang uTha kar nikla tha
us ne rah ke sare patthar toD diye
wo jo pahli Thokar kha kar nikla tha
rangini aur KHushbu mujh par qurban thi
us ka qasida jab main paDh kar nikla tha
jaane insan ne kya socha hoga jab
suraj pahli bar falak par nikla tha
daur-e-KHizan ke KHatm ka yun elan hua
taza patta shaKH-e-shajar par nikla tha
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 132)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.