uski yaadon ka silsila hoga
us kī yādoñ kā silsila hogā
is kahānī meñ aur kyā hogā
jab bichhaḌ kar bhī vo ḳhamosh rahā
ghar pahuñch kar to ro diyā hogā
ḳhud ko samjhā liyā hai maiñ ne magar
kyā vo ḳhud bhī badal gayā hogā
itnā āsāñ na thā mujhe khonā
us ne ḳhud ko gañvā diyā hogā
mujh ko vīrān kar diyā jis ne
kahīñ ābād to huā hogā
sochtā huuñ jo mujh ko chāhtā thā
yaad mujh ko vo kar rahā hogā
us ki yaadon ka silsila hoga
is kahani mein aur kya hoga
jab bichhaD kar bhi wo KHamosh raha
ghar pahunch kar to ro diya hoga
KHud ko samjha liya hai main ne magar
kya wo KHud bhi badal gaya hoga
itna aasan na tha mujhe khona
us ne KHud ko ganwa diya hoga
mujh ko viran kar diya jis ne
kahin aabaad to hua hoga
sochta hun jo mujh ko chahta tha
yaad mujh ko wo kar raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.