uski yaadon pe sadqe har baat bikharti jati hai
us kī yādoñ pe sadqe har baat bikhartī jaatī hai
zikr kiye jaatā huuñ us kā raat guzartī jaatī hai
vāqif hai har phuul chaman kā us ke badan kī ḳhushbū se
chhū kar us ko bād-e-sabā bhī aaheñ bhartī jaatī hai
kho jaate haiñ chāñd sitāre us kī husn-parastī meñ
jyuuñ jyuuñ gahrī hotī hai shab aur nikhartī jaatī hai
ḳhvāb adhūre mātam karte haiñ āñkhoñ meñ puurī shab
dil meñ yādoñ kī koī shamshīr utartī jaatī hai
shahr-e-gum-gashta kī saḌkoñ par koī mahfūz nahīñ
ḳhāmoshī bhī ab is jānib Dartī Dartī jaatī hai
be-kas lamhe āshufta dil aur ye ranj-o-ġham 'ankit'
jabr-e-mashiyat hijr ke ma.ānī zāhir kartī jaatī hai
us ki yaadon pe sadqe har baat bikharti jati hai
zikr kiye jata hun us ka raat guzarti jati hai
waqif hai har phul chaman ka us ke badan ki KHushbu se
chhu kar us ko baad-e-saba bhi aahen bharti jati hai
kho jate hain chand sitare us ki husn-parasti mein
jyun jyun gahri hoti hai shab aur nikharti jati hai
KHwab adhure matam karte hain aankhon mein puri shab
dil mein yaadon ki koi shamshir utarti jati hai
shahr-e-gum-gashta ki saDkon par koi mahfuz nahin
KHamoshi bhi ab is jaanib Darti Darti jati hai
be-kas lamhe aashufta dil aur ye ranj-o-gham 'ankit'
jabr-e-mashiyat hijr ke maani zahir karti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.