uski ye shart ki har lafz faqat us ka ho
us kī ye shart ki har lafz faqat us kā ho
mujh ko ye zid ki jo ma.anī ho mirā apnā ho
hoñT sil jaa.eñ to āñkhoñ se bayāñ ho jaa.e
dard ai dosto itnī to kasak rakhtā ho
maiñ samundar kā bhī sāmān liye chaltā huuñ
raah meñ kyā ye zarūrī hai faqat sahrā ho
aaj to lagtā hai mazbūt tumhārā ye bāñdh
kal kise ilm ki dariyā kā irāda kyā ho
tum ne har raah pe ik rok lagā to dī hai
ye zarā soch lo gar phir bhī hameñ jaanā ho
'ābid' ik baar zarā nāpeñ to us ke qad ko
ain mumkin hai yūñhī sab se baḌā lagtā ho
us ki ye shart ki har lafz faqat us ka ho
mujh ko ye zid ki jo mani ho mera apna ho
honT sil jaen to aankhon se bayan ho jae
dard ai dosto itni to kasak rakhta ho
main samundar ka bhi saman liye chalta hun
rah mein kya ye zaruri hai faqat sahra ho
aaj to lagta hai mazbut tumhaara ye bandh
kal kise ilm ki dariya ka irada kya ho
tum ne har rah pe ek rok laga to di hai
ye zara soch lo gar phir bhi hamein jaana ho
'abid' ek bar zara napen to us ke qad ko
ain mumkin hai yunhi sab se baDa lagta ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.