usko barson baad tanha jaane main kaisa laga
us ko barsoñ ba.ad tanhā jaane maiñ kaisā lagā
mujh ko to vo ajnabī ke saath bhī achchhā lagā
ek muddat se na dekhā thā uThā kar us kā ġham
us kā ġham bhī gard meñ lipTā huā tohfa lagā
thī likhā.ī bhī usī kī dastaḳhat bhī us ke the
kyuuñ ḳhat-e-tark-e-ta.alluq ġhair kā likkhā lagā
sāhiloñ par ban sakā us se na kuchh rishta magar
us ne chhoḌā jab bhañvar meñ vo mujhe apnā lagā
maiñ ki mere umr guzrī inkisār-o-ijz meñ
kuchh mashīnoñ ko ḳhatā kartā huā bachcha lagā
us ko barson baad tanha jaane main kaisa laga
mujh ko to wo ajnabi ke sath bhi achchha laga
ek muddat se na dekha tha uTha kar us ka gham
us ka gham bhi gard mein lipTa hua tohfa laga
thi likhai bhi usi ki dastaKHat bhi us ke the
kyun KHat-e-tark-e-talluq ghair ka likkha laga
sahilon par ban saka us se na kuchh rishta magar
us ne chhoDa jab bhanwar mein wo mujhe apna laga
main ki mere umr guzri inkisar-o-ijz mein
kuchh mashinon ko KHata karta hua bachcha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.