usko chhu kar sanwar gaya hun main
us ko chhū kar sañvar gayā huuñ maiñ
sañg ḳhushbū bikhar gayā huuñ maiñ
nek sīrat parī sā chehra thā
kar ke sajda guzar gayā huuñ maiñ
jism jaañ se judā to honā thā
kaun jaane kidhar gayā huuñ maiñ
lams pā kar tumhāre paañv kā
dil se dil meñ utar gayā huuñ maiñ
faiz us ke bhulā na pā.ūñgā
yaad aa.e jidhar gayā huuñ maiñ
kaam ik nek ho gayā maulā
Duub kar phir ubhar gayā huuñ maiñ
haar jaane kā ġham nahīñ 'sāġhar'
haar kar bhī sañvar gayā huuñ maiñ
us ko chhu kar sanwar gaya hun main
sang KHushbu bikhar gaya hun main
nek sirat pari sa chehra tha
kar ke sajda guzar gaya hun main
jism jaan se juda to hona tha
kaun jaane kidhar gaya hun main
lams pa kar tumhaare panw ka
dil se dil mein utar gaya hun main
faiz us ke bhula na paunga
yaad aae jidhar gaya hun main
kaam ek nek ho gaya maula
Dub kar phir ubhar gaya hun main
haar jaane ka gham nahin 'saghar'
haar kar bhi sanwar gaya hun main
- Book : احتزاز غزل (Pg. 17)
- Author : ساغر سیالکوٹی
- Publication : ساہتیہ کلش پبلی کیشن (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.