usko dekha to dikha kuchh bhi nahin
us ko dekhā to dikhā kuchh bhī nahīñ
luT gayā sab kuchh bachā kuchh bhī nahīñ
soch kar na.ara lagāyā ishq ne
vo milā hai to gayā kuchh bhī nahīñ
ishq zinda yaar zindābād hai
is se aage kā patā kuchh bhī nahīñ
sach batā.ūñ dard bhī sauġhāt hai
varna aahoñ ko milā kuchh bhī nahīñ
ham ko pāgal kah rahā hai ye jahāñ
is ko lagtā hai huā kuchh bhī nahīñ
apnī mahfil meñ akelā thā vahī
saarī mahfil meñ dikhā kuchh bhī nahīñ
ishq kī itnī haqīqat hai 'ziyā'
us kī marzī ke sivā kuchh bhī nahīñ
us ko dekha to dikha kuchh bhi nahin
luT gaya sab kuchh bacha kuchh bhi nahin
soch kar nara lagaya ishq ne
wo mila hai to gaya kuchh bhi nahin
ishq zinda yar zindabaad hai
is se aage ka pata kuchh bhi nahin
sach bataun dard bhi saughat hai
warna aahon ko mila kuchh bhi nahin
hum ko pagal kah raha hai ye jahan
is ko lagta hai hua kuchh bhi nahin
apni mahfil mein akela tha wahi
sari mahfil mein dikha kuchh bhi nahin
ishq ki itni haqiqat hai 'ziya'
us ki marzi ke siwa kuchh bhi nahin
- Book : Qausain (Pg. 105)
- Author : Syed Zia Alvi
- Publication : Syed Zia Alvi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.