usko duniya usi ko din kiya
us ko duniyā usī ko diin kiyā
ain insāf ke qarīn kiyā
vo kahegā yaqīn hai mujh par
maiñ kahūñgī tirā yaqīn kiyā
dil meñ ghar kar liyā mohabbat ne
aur mujhe is qadar hasīn kiyā
kund zehnoñ ko apnī barakat se
ishq ne kis qadar zahīn kiyā
chand ghaḌiyoñ ke baad milnā thā
vaqt ne kyā drop scene kiyā
sabr kā rakh liyā bharam ham ne
aur nam jazb-e-āstīn kiyā
us ko duniya usi ko din kiya
ain insaf ke qarin kiya
wo kahega yaqin hai mujh par
main kahungi tera yaqin kiya
dil mein ghar kar liya mohabbat ne
aur mujhe is qadar hasin kiya
kund zehnon ko apni barakat se
ishq ne kis qadar zahin kiya
chand ghaDiyon ke baad milna tha
waqt ne kya drop scene kiya
sabr ka rakh liya bharam hum ne
aur nam jazb-e-astin kiya
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.