usko ehsas ki KHushbu se riha karna tha
us ko ehsās kī ḳhushbū se rihā karnā thā
phuul ko shāḳh se khilte hī judā karnā thā
pūchh bārish se vo hañste hue roī kyoñ hai
mausam us ne to nasha-bār zarā karnā thā
talḳh lamhe nahīñ dete haiñ kabhī pyāsoñ ko
saañs ke saath na zahrāb ravā karnā thā
kis qadar ġham hai ye shāmoñ kī ḳhunuk rañgīnī
mujh ko lau se kisī chehre pe ravā karnā thā
chāñd puurā thā use yuuñ bhī na takte shab bhar
yuuñ bhī yādoñ kā har ik zaḳhm harā karnā thā
donoñ samtoñ ko hī muḌnā thā muḳhālif jānib
saath apnā hameñ sheroñ meñ likhā karnā thā
karb se aa.ī hai naināñ meñ ye nīlāhaT bhī
dard kī niilī rageñ dil meñ rakhā karnā thā
us ko ehsas ki KHushbu se riha karna tha
phul ko shaKH se khilte hi juda karna tha
puchh barish se wo hanste hue roi kyon hai
mausam us ne to nasha-bar zara karna tha
talKH lamhe nahin dete hain kabhi pyason ko
sans ke sath na zahrab rawa karna tha
kis qadar gham hai ye shamon ki KHunuk rangini
mujh ko lau se kisi chehre pe rawa karna tha
chand pura tha use yun bhi na takte shab bhar
yun bhi yaadon ka har ek zaKHm hara karna tha
donon samton ko hi muDna tha muKHalif jaanib
sath apna hamein sheron mein likha karna tha
karb se aai hai nainan mein ye nilahaT bhi
dard ki nili ragen dil mein rakha karna tha
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 430)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.