usko firaq-e-yar ka matlab nahin pata
us ko firāq-e-yār kā matlab nahīñ pata
matlab use bhī pyaar kā matlab nahīñ pata
marnā to chāhte haiñ magar kyā kareñ ki jab
sāñsoñ ko iḳhtiyār kā matlab nahīñ pata
mujh ko bhī ab yaqīn kisī baat par nahīñ
us ko bhī e'tibār kā matlab nahīñ pata
rakhte ho tum hisāb ġham-e-zindagī kā jo
kyā tum ko be-shumār kā matlab nahīñ pata
us se gila kareñ bhī agar ham to kis liye
jis ko ki ġham-gusār kā matlab nahīñ pata
go kar rahā hai gul kī hifāzat shajar magar
patjhaḌ ko nau-bahār kā matlab nahīñ pata
us ko firaq-e-yar ka matlab nahin pata
matlab use bhi pyar ka matlab nahin pata
marna to chahte hain magar kya karen ki jab
sanson ko iKHtiyar ka matlab nahin pata
mujh ko bhi ab yaqin kisi baat par nahin
us ko bhi e'tibar ka matlab nahin pata
rakhte ho tum hisab gham-e-zindagi ka jo
kya tum ko be-shumar ka matlab nahin pata
us se gila karen bhi agar hum to kis liye
jis ko ki gham-gusar ka matlab nahin pata
go kar raha hai gul ki hifazat shajar magar
patjhaD ko nau-bahaar ka matlab nahin pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.