us ko jī daar kar diyā jaa.e
ḳhud se do-chār kar diyā jaa.e
raushnī aa rahī hai bāhar se
dar ko dīvār kar diyā jaa.e
dil ke zindāñ meñ so rahā hai koī
ab to bedār kar diyā jaa.e
shahr gunjān ho gayā hai bahut
shahr mismār kar diyā jaa.e
jaañ bachāne kā ik tarīqa hai
vaqf-āzār kar diyā jaa.e
ruuh kā ghaav bharne vaalā hai
phir koī vaar kar diyā jaa.e
us ko ji dar kar diya jae
KHud se do-chaar kar diya jae
raushni aa rahi hai bahar se
dar ko diwar kar diya jae
dil ke zindan mein so raha hai koi
ab to bedar kar diya jae
shahr gunjaan ho gaya hai bahut
shahr mismar kar diya jae
jaan bachane ka ek tariqa hai
waqf-azar kar diya jae
ruh ka ghaw bharne wala hai
phir koi war kar diya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.